Bihar Intermediate Spot Admission 2025 – OFSS Bihar
Bihar School Examination Board (BSEB) ne Intermediate class 11 mein admission ke liye Spot Admission 2025 process start kar diya hai. Yeh un students ke liye ek mauka hai jo pahle kisi bhi reason se admission nahi le paaye the.
Eligibility (Kaun Apply Kar Sakta Hai?)
- Jo students pahle ke round mein select nahi ho paaye.
- Jinhone apply kiya tha par admission confirm nahi hua.
- Jo kisi wajah se pehle apply nahi kar paaye the.
Jaruri Documents
- 10th Marksheet aur Certificate
- Passport size Photo aur Signature
- Category Certificate (Agar applicable ho)
- Residential Certificate (Aavashyakta ke anusar)
- School Leaving Certificate (SLC)
Important Dates
- Spot Admission Start Date: August 2025
- Last Date to Apply: Notify soon on official site
Form Bharne ka Tarika
- OFSS Bihar ke official site par jaayein
- Spot Admission ke liye online form fill karein
- Documents upload karke form submit karein
- Payment karne ke baad confirmation print lein
- School/College me admission confirm karein
Important Official Links
Yeh ek final chance hai admission ke liye, isliye bina der kiye form bhar kar apna seat confirm karein.